“MAIN THAK CHUKA HUN”

Is mand si muskaan ke peeche,
Chhipkar sab kuch dekhte hue;
Main thak chuka hun.

Is jhoothi hasi ke mukhaute ke peeche,
Ye dohri zindagi jeete jeete
Main thakk chuka hun

Is ashawadi shakhsiyat ke peeche,
Nirantar haar ko jhelte hue;
Main thak chuka hun.

Ummeed bhari nazron ke peeche,
Tooti ummeedon ke aansu ponchte hue;
Main thak chuka hun.

Dost, yaar aur chand rishtedaar,
Sabke baare mein soch soch kar,
Khud ki chinta bhulate hue;
Main thak chuka hu.

Dilfenk ban is duniya ke saamne,
Chhipkar dil ke tukde samet’te hue;
Main thak chuka hun.

Sangharsh aur asafalta ki kahaaniyon mein,
Nakarapan ke taanon se;
Main thak chuka hun.

Is halki si muskuraahat ke peeche,
Hazaaron jung ladte hue;
Main thak chuka hun;
Main thak chuka hun.

Shiv Arora

10 thoughts on ““MAIN THAK CHUKA HUN”

Add yours

Leave a comment

Create a free website or blog at WordPress.com.

Up ↑